qismat-e-chashm-e-tar badhana hai aansuon ko guhar banana hai ye zamana ajab zamana hai har haqiqat yahan fasana hai bhadke jazbaat ko dabana hai pani is aag ko banana hai hans ke bar-e-alam uthana hai maut ko zindagi banana hai hum to sail-e-bala ki nazr hue dusron ko magar bachana hai hum nahin dekhte hawa ka rukh kaam apna diya jalana hai mera hi ham-nawa nahin koi aap ke sath to zamana hai imtihan le chuke zamane ka ab hamein khud ko aazmana hai