wafa ki rah mein dushwariyan bahut si hain magar junun ki bhi tayyariyan bahut si hain jalal apni mohabbat ka sab se uncha hai badan mein aise to bimariyan bahut si hain hamare pas faqat dil ka dard hai lekin tumhaare pas to ayyariyan bahut si hain har ek shakhs ki fikren juda juda thahrin jahan-e-am mein khuddariyan bahut si hain wafa ki sari misalen gina to dun lekin watan mein apne bhi ghaddariyan bahut si hain dilon mein palte hue khwab jaante hi nahin tabah karne ko be-kariyan bahut si hain kisi ne mujh se kaha tha ki yar sun to sahi ada mein husn ki makkariyan bahut si hain saji hai bazm-e-mohabbat ye jaan kis ke liye yahan to logon mein bezariyan bahut si hain 'nadim' kyun tu tah-e-iztirab dub gaya dilon ke khel mein bhi pariyan bahut si hain