nikhar aai nikhaar aai sanwar aai sanwar aai gulon ki zindagi le kar gulistan mein bahaar aai mashiyyat ko nahin manzur do din parsa rakhna idhar ki main ne tauba aur udhar fauran bahaar aai asiran-e-qafas ko wasta kya in jhamelon se chaman mein kab khizan aai chaman mein kab bahaar aai mujhe gulshan se ai josh-e-junun sahra ko ab le chal yahan is ke siwa kiya hai khizan aai bahaar aai hamesha baada-khwaron par khuda ko mehrban dekha jahan baithe ghata utthi jahan pahunche bahaar aai