ye soch kar na mail-e-fariyaad hum hue aabaad kab hue the ki barbaad hum hue hota hai shad-kaam yahan kaun ba-zamir nashad hum hue to bahut shad hum hue parwez ke jalal se takrae hum bhi hain ye aur baat hai ki na farhad hum hue kuchh aaise bha gae hamein duniya ke dard-o-gham ku-e-butan mein bhuli hui yaad hum hue 'jalib' tamam umr hamein ye guman raha us zulf ke khayal se aazad hum hue