nikhat-e-gul hain ya saba hain hum nahin malum kuchh ki kya hain hum ru-shanasi hai hum ko aaina-san ek aalam se aashna hain hum khaksari se bazm-e-alam mein safha-e-naqsh-e-boriya hain hum hai hamin se wo shahid-e-mani harf-e-matlab ke muddaa hain hum jam-e-mai saqiya shitabi de kaun kahta hai parsa hain hum shama-san hai daraaz rishta-e-umr ki fana hone se baqa hain hum tere kucha talak ki taqat hai nahin itne shikasta-pa hain hum bang-e-sankh aur nala-e-naqus kahe hamdam jo kam-numa hain hum chashm kya kije wa ba-rang-e-hubab turfat-ul-ain mein hawa hain hum nargisi chashm tha wo kafir aah jis ke bimar-o-mubtala hain hum nazninan-e-dahr ke har dam kushta-e-ghamza-o-ada hain hum ai wafa tu kidhar hai ho dam-saz kushta-e-khanjar-e-jafa hain hum chashm-e-bad-dur kya ghazal hai 'nasir' khub is fan mein marhaba hain hum