talab ki rahon mein sare aalam nae nae se shajar hajar log shahr mausam nae nae se chamak raha tha falak pe suraj naya naya sa luta chuki thi khazane shabnam nae nae se hain ab bhi aankhon ke didbanon mein apni wo din lage diyar-e-sahar ko jab hum nae nae se tamawwujon ki ragon mein shorish nai nai si lahu ke jhagde badan mein paiham nae nae se purane hote hue sahife darakht insan ye chand suraj sitare har dam nae nae se kabhi to aaenge shakh-e-dil par gulab taza milenge 'asad' hamein bhi mausam nae nae se