rang khush-bu mein agar hal ho jae wasl ka khwab mukammal ho jae chand ka chuma hua surkh gulab titari dekhe to pagal ho jae main andheron ko ujalun aise tirgi aankh ka kajal ho jae dosh par barishen le ke ghumen main hawa aur wo baadal ho jae narm sabze pe zara jhuk ke chale shabnami raat ka aanchal ho jae umr bhar thame rahe khush-bu ko phul ka hath magar shal ho jae chidiya patton mein simat kar soe ped yun phaile ki jangal ho jae