nikhat-e-zulf se nindon ko basa de aa kar meri jagi hui raaton ko sula de aa kar fikr-e-farda o gham-e-dosh bhula de aa kar phir usi naz se diwana bana de aa kar ishq ko naghma-e-ummid suna de aa kar dil ki soi hui qismat ko jaga de aa kar kis qadar tera o tarik hai duniya-e-hayat jalwa-e-husn se ek shama jala de aa kar ishq ki chandni raaten mujhe yaad aati hain umr-e-rafta ko meri mujh se mila de aa kar zindagi ban ke mere dil mein sama ja salma maut ek parda hai ye parda utha de aa kar aag si dil mein laga jata hai tera har khat aa mere khirman-e-hasti ko jala de aa kar teri furqat mein mere sher hain kitne ghamgin muskuraati hui nazron se hansa de aa kar phir wahi hum hon wahi din hon wahi raaten hon ahd-e-rafta ko phir aaina dikha de aa kar shauq-e-nadida mein lazzat hai magar naz nahin aa mere ishq ko maghrur bana de aa kar shab-e-furqat pe meri hanste hain ai khanda-e-nur mere qadmon pe sitaron ko gira de aa kar tishna-e-husn hun ai saqi-mai-khana-e-husn apne honton se phir ek jam pila de aa kar kab talak raunaq-e-sham-e-awadh ai mah-e-rawan sham-e-lahore ko bhi subh bana de aa kar ho chuki sair-e-bahaaran-kada-e-qaisar-bagh bagh-e-lawrence mein bhi phul khila de aa kar gomti dekh chuki jalwa-e-ariz ki bahaar sath-e-rawi ko bhi aaina bana de aa kar tera ruman naya khwab hai 'akhtar' ke liye aa aur is khwab ki tabir bata de aa kar