ye inkishaf chaman mein hua bahaar ke baad ek aur daur bhi hai daur-e-khush-gawar ke baad raha to hun main nasheman mein muddaton lekin kabhi bahaar se pahle kabhi bahaar ke baad dil-e-hazin ko shab-e-gham bahut fareb diye na aai nind magar tere intizar ke baad jamal-e-ghuncha-o-gul par nigah kaun kare jamal-e-ghuncha-o-gul hai jamal-e-yar ke baad bahaar mein jo mujhe rind kah rahe hain 'aziz' wo parsa bhi kahenge mujhe bahaar ke baad