nikle hai chashma jo koi josh-e-zanan pani ka yaad wo hai wo kaso chashm ki giryani ka lutf agar ye hai butan sandal peshani ka husn kya subh ke phir chehra-e-nurani ka kufr kuchh chahiye islam ki raunaq ke liye husn zunnar hai tasbih-e-sulaimani ka darhami haal ki hai sare mere diwan mein sair kar tu bhi ye majmua pareshani ka jaan ghabraati hai andoh se tan mein kya kya tang ahwal hai us yusuf-e-zindani ka khel ladkon ka samajhte the mohabbat ke tain hai bada haif hamein apni bhi nadani ka wo bhi jaane ki lahu ro ke likha hai maktub hum ne sar nama kiya kaghaz afshani ka us ka munh dekh raha hun so wahi dekhun hun naqsh ka sa hai saman meri bhi hairani ka but-parasti ko to islam nahin kahte hain mo'taqid kaun hai 'mir' aisi musalmani ka