yaadgar-e-guzishtagan hain hum khub dekha to phir kahan hain hum shama ki tarah bazm-e-giti mein dagh baithe hain aur rawan hain hum rahe jate hain pichhe yaron se gard-e-dumbaal-e-karwan hain hum rakh na khanjar ko hath se qatil tere kushton mein nim-jaan hain hum aabiyar-e-sukhan hai apni zaban lafz o mani ke baghban hain hum tu hi tu hai jo khub ghaur karen ek dhoka sa darmiyan hain hum dawat-e-tegh ke to qabil hain go ki yak-musht-e-ustukhan hain hum rang-e-rukh par hamare, zardi si nazar aati hai, kya khizan hain hum go kiya hum ko sard piri ne par abhi taba mein jawan hain hum aur bhi hum ko rahne de chande go teri taba par giran hain hum baghban ab chaman se jawen kahan bulbul-e-kohna aashiyan hain hum 'mushafi' shaeri rahi hai kahan ab to majlis ke rauza-khwan hain hum