pai na koi manzil pahunchin na kahin rahen bhatka ke rahin mujh ko aawara guzargahen aalam-e-zamana se chhuten to tujhe chahen masruf-e-mashaqqat hain hasrat se bhari banhen sahra hi se guzri thin khoi gain jo rahen batlaenge ye chashme ye ban ye charagahen shamshir ki zad par hain kuchh aur hamin jaise hangam-e-taqaza kya ai dil wo jise chahen kya rup badalte hain taswir mein dhalte hain aankhon mein ruke aansu sine mein dabi aahen ab kaun kahe tara tuta to kahan pahuncha aazad ki har duniya barbaad ki sau rahen ab nam gham-e-dil ka taswir o qalam tak hai tufan ne safinon mein dhundi hain panah-gahen tashhir-e-junun kahiye ya zauq-e-sukhan 'haqqi' arzan hain mere aansu ruswa hain meri aahen