phunki gham-e-firaq ne ye tan-badan mein aag

phunki gham-e-firaq ne ye tan-badan mein aag
ab jism ki jagah hai mere pairahan mein aag

angaron par litati hai furqat mein sair-e-bagh
ho mera ikhtiyar to de dun chaman mein aag

abr-e-siyah nahin ye dhuan hai bhara hua
kis ne laga di aaj sipahr-e-kuhan mein aag

kushte hain tere rukh ke jo ai aatishin-ezar
le jaenge wo bandh ke apne kafan mein aag

rukhsat hui bahaar khizan ke din aa gae
ai baghban laga de ab apne chaman mein aag

sahra hamari garmi-e-raftar se jala
apne hi soz-e-gham ne laga di chaman mein aag

kis ne kiya tere lab-e-lalin ka tazkira
ahl-e-yaman ne aaj laga di yaman mein aag

zulfon se yun ayan hai tera ru-e-atishin
jaise lagi ho wadi-e-chin-o-khutan mein aag

'akbar' teri zaban hai kya shama ki zaban
har fiqra tera shoala hai har har sukhan mein aag


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close