nim-cha jald myan hi na miyan kijiyega nim-jaanon ka abhi kaam rawan kijiyega taqat-e-garmi-e-khurshid-e-qayamat hai kise tab ki dagh-e-jigar se na fughan kijiyega dil mein tum ho na jalao mere dil ko dekho mera nuqsan nahin apna ziyan kijiyega kah do baqqal pisar se ki mera dil le kar qasd-e-akhz-e-dil-e-aghyar na han kijiyega dil se dil pas hain to bhi hai dilon ki khwahish kya dilon ki kahin dilli mein dukan kijiyega aur bhi soz-e-jigar bazm mein hoga raushan shama san qata agar meri zaban kijiyega yar jab sath safar mein ho kahan ki rozi roz rozon hi mein id-e-ramzan kijiyega kis se yarab kahun ahwal ye kahta hai wo but apni yan ram-kahani na bayan kijiyega wo dhuan-dhaar si zulfen hain nazar mein har shab wird ab sura-e-wallail-o-dukhan kijiyega shahr-e-dil ki tumhein aabaadi ka kuchh bhi hai khayal ya jahan rahiyega viran hi wahan kijiyega meri jaanib se kaho mohtasib-e-shahr se ye sai-e-arzani-e-mai az dil-o-jaan kijiyega pani pi pi ke tumhein dewenge dushnam ye rind tum subuk hoge agar baada giran kijiyega jald 'ehsan' se kaho wo but-e-khud-kaam aaya ab to lillah kahin band zaban kijiyega