pahle mujhe nisab se ghafil kiya gaya

pahle mujhe nisab se ghafil kiya gaya
phir imtihan ke waste qail kiya gaya

sari sipah dusri jaanib chali gai
mujh ko jo mere madd-e-muqabil kiya gaya

phir khwahishon ko dil ki sifarish pe ek din
khwabon ki khanqah mein dakhil kiya gaya

kuchh kashtiyon ne mil ke jazire bana liye
dariya jo sahilon ke mumasil kiya gaya

aainda marhabon se ulajhna nahin kabhi
khaibar se kya sabaq yahi hasil kiya gaya

shauq-e-safar ke izn-e-junun se milap par
kitne hi raston ko manazil kiya gaya

tafsir matn-e-khauf ki likkhi na ja saki
wahshat bhara sahifa jo nazil kiya gaya

reg-e-talab ko sath-e-qanaat pe dal kar
dariya-e-mumkinat ka sahil kiya gaya

lafzon ki shakl khun bahega tamam umr
main tez dhaar waqt se ghayal kiya gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close