pas-e-ghubar-e-talab khauf-e-justuju hai bahut rafiq-e-rah magar un ki aarzu hai bahut laraz ke tut hi jae na aaj barg-e-badan lahu mein qurb ki garmi ragon mein lu hai bahut ulajh gaya hai wo khwahish ke jal mein yani fareb-e-rang-e-hawas ab ke du-ba-du hai bahut kata-phata sahi malbus-e-kohnagi na utar tere liye yahi diwar-e-abru hai bahut mizaj-e-waqt ki taswir ban gae hum log labon pe barf jami hai dilon mein lu hai bahut hara-bhara nazar aata hai yun to wo 'akhtar' dayar-e-dil mein magar qaht-e-rang-o-bu hai bahut