saqi-e-bazm-e-tarab se mai-kade se jam se kaam rakkha hai hamesha hum ne apne kaam se ho ke dil-bardashta utthe hain bazm-e-am se ab chale aaenge ai qasid wo mere nam se shaikh ji ab mai-kade mein pak-bazi ka sawal puchh lenge hum tumhaare jama-e-ehram se qaidi-e-zindan-e-gham hain hum jahan-e-zist mein bhag jaana hai nikal kar aalam-e-ajsam se hum ne ab samjha hai aakar bazm-e-hasti ka fareb rah gae hain jab lipat kar daman-e-auham se meri tab-e-did ki ek aazmaish ke liye aaj to jalwon ki barish ho rahi hai baam se kya bataun kaise kaise mujh pe dhae hain sitam gardish-e-qismat ne mil kar gardish-e-ayyam se hum to ai 'khushtar' samajhte hain ki mar kar ji uthe maut ne hum ko chhudaya zist ke aalam se