roko ye wahshaton ka bahao kisi tarah kashti ko nakhuda se bachao kisi tarah ye amn ka chaman khas-o-khashak ho na jae barso mohabbaton ki ghatao kisi tarah kab tak phiroge dar-badari ka junun liye dil mein jagah kisi ke banao kisi tarah hoti nahin hain kam kisi surat bhi nafraten is khar-o-khas mein aag lagao kisi tarah aankhon mein aansuon ka khazana nahin raha phir de koi judai ke ghaw kisi tarah ye qahqahon ki khokhli barsat khatm ho andar ke aadmi ko rulao kisi tarah ashkon ka tohfa pesh karo un ke ru-ba-ru suraj ko bhi charagh dikhao kisi tarah