padh raha hun nisab ho jaise us ka chehra kitab ho jaise yun basar kar raha hun duniya mein zindagani azab ho jaise shakh-e-qamat pe wo hasin chehra ek taza gulab ho jaise yun wo rahta hai meri aankhon mein meri aankhon ka khwab ho jaise wo mere bakht ke khazine mein gauhar-e-la-jawab ho jaise us ki hasti kitab-e-hasti ka ek hasin intisab ho jaise zahr-alam dil ke saghar mein ek purani sharab ho jaise jhut ab bolte hain log aise ye bhi kar-e-sawab ho jaise reg-e-dasht-e-khayal mein 'shahid' yaad us ki sarab ho jaise