numayan donon jaanib shan-e-fitrat hoti jati hai unhen mujh se mujhe un se mohabbat hoti jati hai meri sham-e-alam subh-e-masarrat hoti jati hai ki har lahza tere milne ki surat hoti jati hai nigahen muztarib utra hua chehra zaban sakit jo thi apni wahi ab un ki haalat hoti jati hai na kyun hon is ada par ishq ki khuddariyan sadqe unhen rudad-e-gham sun sun ke hairat hoti jati hai kahin raaz-e-mohabbat aasman par bhi na khul jae mujhe aah-o-fughan karne ki aadat hoti jati hai mohabbat hi mein milte hain shikayat ke maze paiham mohabbat jitni badhti hai shikayat hoti jati hai 'shakil' un ki judai mein hai lutf-e-zindagi zail nazar be-kaif afsurda tabiat hoti jati hai