zamin ka rang wahi aasman ka rang wahi wahi sabahat-e-gul hai bina-e-sang wahi jo khwab ban nahin paya tha meri aankhon ka thahar gaya hai mere aaine pe zang wahi badan mein aag lagate hue dua ke hath lahu mein phul khilati hui umang wahi badalne wala hi khud ko badal nahin paya wahi bahane hain us ke hain uzr-e-lang wahi hazar sulh ka parcham buland kar dekho magar zamin pe musallat rahegi jang wahi purani waza se aaya hun tere kuche mein badan main zor wahi ruh mein tarang wahi kuchh aise dhang se tabdil ho raha hai wo ki rah na jae kisi marhale pe dang wahi wahi nagar wahi galiyan wahi makin 'sajid' padi hai panw mein zanjir-e-nam-o-nang wahi