sar-ba-sar ek chamakti hui talwar tha main

sar-ba-sar ek chamakti hui talwar tha main
mauj-e-dariya se magar bar-sar-e-paikar tha main

main kisi lamha-e-be-waqt ka ek saya tha
ya kisi harf-e-tahi-ism ka izhaar tha main

ek ek mauj patakh deti thi bahar mujh ko
kabhi is par tha main aur kabhi us par tha main

us ne phir tark-e-talluq ka bhi mauqa na diya
ghatte rishton se ki har-chand khabar-dar tha main

is tamashe mein tassur koi lane ke liye
qatl 'bani' jise hona tha wo kirdar tha main


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close