numayan muntaha-e-sai-e-paiham hoti jati hai tabiat be-niyaz-e-har-do-alam hoti jati hai uthi jati hai dil se haibat-e-alam-e-ruhani jarahat bahr-e-qalb-e-zar marham hoti jati hai kinara kar raha hai ruh se haijaan-e-sartabi ki gardan justuju ke shauq mein kham hoti jati hai junun ka chha raha hai zindagi par ek dhundalka sa khirad ki raushni sine mein maddham hoti jati hai nasim-e-be-niyazi aa rahi hai baam-e-gardun se urus-e-muddaa ki zulf barham hoti jati hai numayan ho chala hai ek jahan chashm-e-tasawwur par nazar shayad harif-e-saghar-e-jam hoti jati hai girah yun khul rahi hai har nafas zauq-e-tamasha ki ki har adna si shai ab ek aalam hoti jati hai faza mein kanpti hain dhundli dhundli nuqrai shaklen har ek takhil-e-pakiza mujassam hoti jati hai na jaane sina-e-ehsas par ye hat hai kis ka tabiat be-niyaz-e-shadi-o-gham hoti jati hai samajh mein aaen kya barikiyan qanun-e-qudrat ki ibaadat kasrat-e-mani se mubham hoti jati hai khajil tha jis ki shorish se talatum bahr-e-hasti ka mere dil mein wo halchal 'josh' ab kam hoti jati hai