phir aashna-e-lazzat-e-dard-e-jigar hain hum phir mahram-e-kashakash-e-har-khair-o-shar hain hum har sans de rahi hai khabar kaenat ki phir baada-e-jamal se yun be-khabar hain hum phir ishq ki nazar mein hai mashuqiyat ka naz phir husn-e-dil-nawaz se shir-o-shakar hain hum jine ke ishtiyaq se hai phir ramidgi phir sina-e-hayat mein azm-e-safar hain hum hoshyar-bash zulmat-e-gham-khana-e-hayat phir markaz-e-tajalli-e-shams-o-qamar hain hum kis zom mein hai ai shab-e-daijur-e-zindagi phir raazdar-e-nur-e-tulu-e-sahar hain hum hai kis khayal-e-kham mein ai kharzar-e-dahr phir kaamran-e-khanda-e-gul-ha-e-tar hain hum phir zindagi hai gham ki amanat liye hue har daulat-e-nashat se phir bahra-war hain hum phir faiz-e-ashiqi se ba-in be-bazaati jeb-e-jahan mein daulat-e-lal-o-guhar hain hum phir bawajud-e-faqr wo hasil hai tumtaraq tu ye kahe ki sahib-e-taj-o-kamar hain hum aankhon mein nur-e-mushaf-e-jaanan liye hue phir kardgar-e-ishq ke paigham-bar hain hum khulte nahin hain 'josh' dimaghon pe dil ke raaz baala-tar az rasai-e-naqd-o-nazar hain hum