un ko but samjha tha ya un ko khuda samjha tha main han bata de ai jabin-e-shauq kya samjha tha main allah allah kya inayat kar gai mizrab-e-ishq warna saz-e-zindagi ko be-sada samjha tha main un se shikwa kyun karun un se shikayat kya karun khud badi mushkil se apna muddaa samjha tha main meri haalat dekhiye mera tadapna dekhiye aap ko is se gharaz kya hai ki kya samjha tha main khul gaya ye raaz un aankhon ke ashk-e-naz se kaifiyat-e-husn ko gham se juda samjha tha main ai jabin-e-shauq han tujh ko badi zahmat hui aaj har zarre ko un ka naqsh-e-pa samjha tha main ek nazar par munhasir thi zist ki kul kaenat har nazar ko jaan jaan-e-muddaa samjha tha main aa raha hai kyun kisi ka nam honton tak mere ai dil-e-muztar tujhe sabr-azma samjha tha main aap to har har qadam par ho rahe hain jalwa-gar aap ko hadd-e-nazar se mawara samjha tha main ye fughan ye shor ye nale ye shewan the fuzul kya batati thi mohabbat aur kya samjha tha main us nigah-e-naz ne 'bahzad' mujh ko kho diya jis nigah-e-naz ko apni dawa samjha tha main