teri qudrat ki qudrat kaun pa sakta hai kya qudrat tere aage koi qadir kaha sakta hai kya qudrat tu wo yakta-e-mutlaq hai ki yaktai mein ab teri koi shirk-e-dui ka harf la sakta hai kya qudrat zamin se aasman tak tu ne jo jo rang range hain ye rang-ameziyan koi dikha sakta hai kya qudrat hazaron gul hazaron gul-badan tu ne bana dale koi mitti se aise gul khila sakta hai kya qudrat hue hain nur se jin ke zamin o aasman paida koi ye chand ye suraj bana sakta hai kya qudrat hawa ke farq par koi bana kar abr ka khema tanaben tar-e-baran ki laga sakta hai kya qudrat jam o askandar o dara o kekaus o kekhusrau koi is dhab ke dil baadal bana sakta hai kya qudrat kiya namrud ne go kibr se dawa khudai ka kahin us ka ye dawa pesh ja sakta hai kya qudrat nikala tere ek pushte ne kafshin mar-e-maghz us ka siwa tere khuda koi kaha sakta hai kya qudrat nikale lakdiyon se tu ne jis jis lutf ke mewe koi pedon mein ye pede laga sakta hai kya qudrat tere hi khwan-e-neamat se hai sab ki parwarish warna koi chyunti se hathi tak khila sakta hai kya qudrat hamari zindagani ko baghair az teri qudrat ke koi pani ko pani kar baha sakta hai kya qudrat tere husn-e-tajalli ka jahan zarra jhamak jawe to phir musa koi wan tab la sakta hai kya qudrat dam-e-isa mein wo tasir thi teri hi qudrat ki wagarna koi murde ko jila sakta hai kya qudrat tu wo mahbub chanchal hai ki bar-e-naz ko tere baghair-az-mustafa koi utha sakta hai kya qudrat 'nazir' ab taba par jab tak na faizan-e-ilahi ho koi ye lafz ye mazmun bana sakta hai kya qudrat