sahib-e-mehr-o-wafa arz-o-sama kyun chup hai hum pe to waqt ke pahre hain khuda kyun chup hai be-sabab gham mein sulagna meri aadat hi sahi saz khamosh hai kyun shola-nawa kyun chup hai phul to sahm gae dast-e-karam se dam-e-subh gungunati hui aawara saba kyun chup hai khatm hoga na kabhi silsila-e-ahl-e-wafa soch ai dawar-e-maqtal ye faza kyun chup hai mujh pe tari hai rah-e-ishq ki aasuda thakan tujh pe kya guzri mere chand bata kyun chup hai jaanne wale to sab jaan gae honge 'alim' ek muddat se tera zehn-e-rasa kyun chup hai