pahle to shahar bhar mein andhera kiya gaya

pahle to shahar bhar mein andhera kiya gaya
phir hum se raushni ka taqaza kiya gaya

pahle to sazishon se hamein di gai shikast
phir khub is shikast ka charcha kiya gaya

ek shakhs ke liye meri basti ka rasta
kachche makan gira ke kushada kiya gaya

pahle to mujh ko rah batai gai ghalat
phir meri gumrahi ka tamasha kiya gaya

duniya na thi jo pyar ke qabil to kis liye
hum ko asir-e-khwahish-e-duniya kiya gaya

is gulshan-e-hayat mein rang-e-khizan ke sath
ek mausam-e-bahaar bhi paida kiya gaya

aankhon ko aansuon ke jawahar diye gae
dil ke sipurd gham ka khazana kiya gaya

duniya hamare qatl ko kahti hai khud-kushi
marne ke baad bhi hamein ruswa kiya gaya

'shahid' likha gaya tha hamare hi khun se
tasnif jab wafa ka sahifa kiya gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close