pae-gul-gasht suna hai ki wo aaj aate hain phulon ki bhi ye khushi hai ki khile jate hain bahr-e-taskin-e-dil ahbab ye farmate hain aap kahiye to abhi ja ke bula late hain gudgudi kar ke hansate hain jo ghash mein ahbab kis ke rumal se talwe mere sahlate hain aap ke hote kisi aur ko chahun tauba kis taraf dhyan hai kya aap ye farmate hain meri hi jaan ke dushman hain nasihat wale mujh ko samjhate hain un ko nahin samjhate hain bulbulo bagh mein ghafil na kahin ho jaana har taraf ghat mein sayyaad nazar aate hain khub pahchan liya hum ne tumhein dil de kar sach kaha hai ki jo khote hain wahi pate hain mujh ko bawar nahin sach sach ye bata de hamdam tu ne kis se ye suna hai ki wo aaj aate hain kya dil o dida bhi harkare hain subhan-allah lakh pardon mein koi ho ye khabar late hain dekh achchha nahin 'jauhar' kahin mail hona jab bhi samjhate the ab bhi tujhe samjhate hain