pae sajda agar mujh ko na tera aastan milta jo paiham milne wala tha sukun-e-dil kahan milta meri masti pe zahid kis liye ab rashk karta hai teri taqdir mein hota to lutf-e-jawedan milta haram tak hi agar mahdud hoti aashiqi apni tum hi socho ki phir tum sa but-e-kafir kahan milta meri shaffaf peshani ne meri laj rakh li hai mujhe kya kya samajhte tum jo sajdon ka nishan milta 'aziz'-e-warsi jo tum bhi ibn-ul-waqt ho jate tumhaara tazkira bhi dastan-dar-dastan milta