sham thi hum the aur samundar tha kis qadar dil-fareb manzar tha ek taraf thi khushi ujalon ki ek taraf sham hone ka dar tha the pareshan tir nazron ke jab talak dil mera hadaf par tha wo tha kamsin ye sach sahi lekin hasraton mein mere barabar tha dil to tha mutmain rifaqat mein khauf sa dhadkanon ke andar tha apne hathon use ganwaya hai jis mein pinhan mera muqaddar tha us ki rangin qurbaton ke sabab raat jannat-numa mera ghar tha shahr-e-jaan ki udas galiyon mein mushtail khwahishon ka lashkar tha shor kamre mein tha qayamat ka chup ka aalam 'khayal' bahar tha