pagal wahshi tanha tanha ujDa ujDa dikhta hun

pagal wahshi tanha tanha ujda ujda dikhta hun
kitne aaine badle hain main waise ka waisa hun

phir se mujh ko pagal-pan ka daura padne wala hai
phir se tumhaari yaadon ki almari khole baitha hun

apne siwa na kisi ko kuchh bhi samjha samjhunga shayad
main aise hi jiti hai main bhi aise hi jita hun

mera pinjra khol diya hai tum bhi ajib shikari ho
apne hi par kat liye hain main bhi ajib parinda hun

mere yahan ka ek rasta mere apne andar jata hai
aur main isi raste pe na chalne ki zid le kar baitha hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close