simte to aise shams-o-qamar mein simat gae bikhre to aise khak ke zarron mein bat gae manzil kahan safar hi safar ho gai hayat itna chale ki panw se raste lipat gae ye waqt ka karam hai ki rukte nahin hain din katna na chahiye tha jinhen wo bhi kat gae ab dekhna hai kaun sanwarega tere phul ek hum hi teri rah ka kanta the hit gae qad-awari pe hum ko bahut naz tha magar jab zindagi ki aag se guzre to ghat gae