pahchane tu har-dam wahi har aan wahi hai jaanan wahi ai jaan wahi jaan wahi hai aasaish-e-tan rahat-e-jaan taza kiye ruh wallaho-mal-an-kama-kan wahi hai kabe mein wahi khud hai wahi dair mein hai aap hindu kaho ya us ko musalman wahi hai bakhshe hai wahi khak ko din-o-dil-o-iman ghaarat-gar-e-din-o-dil-o-iman wahi hai parda hai tayyun ka wahi aankhon ke aage be-parda numainda-e-irfan wahi hai hum yaad karen kis ko faramosh hon kis se hai yaad bhi har-dam wahi nisyan wahi hai sar tegh tale us ke to dhar dijiye kyunkar qatil jo wahi hai to nigahban wahi hai surat mein hai zahir wahi mani mein hai baatin har shakl mein paida wahi pinhan wahi hai na maya-e-duniya hai na kuchh din ka asbab mujh be-sar-o-pa ka sar-o-saman wahi hai dil hai so ghar us ka hai makan jaan-o-tan us ka yan sahab-e-khana wahi mehman wahi hai be-dard wahi hai wahi hai dard wa-lekin apne to 'muhib' dard ka darman wahi hai