pahla sa wo zor nahin hai mere dukh ki sadaon mein shayad pani nahin raha hai ab pyase dariyaon mein jis baadal ki aas mein jode khol liye hain suhagan ne wo parbat se takra kar baras chuka sahraon mein jaane kab tadpe aur chamke suni raat ko phir das jae mujh ko ek rupahli nagin baithi mili hai ghataon mein patta to aakhir patta tha gunjaan ghane darakhton ne zamin ko tanha chhod diya hai itni tez hawaon mein din bhar dhup ki tarah se hum chhae rahte hain duniya par raat hui to simat ke aa jate hain dil ki guphaon mein khade hue jo sahil par to dil mein palken bhig gain shayad aansu chhupe hue hon subh ki narm hawaon mein ghazal ke mandir mein diwana murat rakh kar chala gaya kaun use pahle pujega bahas chali dewtaon mein