viran sa ab hun jo main aisa to nahin tha

viran sa ab hun jo main aisa to nahin tha
hota tha samundar kabhi sahra to nahin tha

chehre pe raqam tha jo wo padh hi nahin paya
sab jaanta tha itna bhi sada to nahin tha

aangan mein mere dil ke chali aai thi kal sham
thi yaad tumhaari koi jhonka to nahin tha

chup-chap tasawwur mein chale aate kisi roz
sochon pe meri jaan koi pahra to nahin tha

hum dard ka afsana sunate use kyun-kar
zahir mein jo apna tha par apna to nahin tha

sab chal diye maujon ke hawale use kar ke
mana ki bhanwar mein tha wo duba to nahin tha

wo jis ko tha sine ka har ek zakhm dikhaya
baaton pe meri us ko bharosa to nahin tha

kar ke mujhe barbaad gaya hai wo sitamgar
gulshan yunhi dil ka mere ujda to nahin tha

kyon rota hai ab hijr mein tere wo 'masarrat'
jate hue us ne tujhe roka to nahin tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close