wo anjuman mein raat ajab shan se gae iman chiz kya thi kai jaan se gae main to gaya hua tha hazaron naqab mein lekin akela dekh ke pahchan se gae wo shama ban ke khud hi akele jala kiya parwane kal ki raat pareshan se gae aaya tera salam na aaya hai khat koi hum aakhiri safar ke bhi saman se gae 'rahi' jise khuda bhi na samjha saka kabhi baithe-bithae dekh lo ab man se gae