rut hai aisi ki dar-o-baam na sae honge log palkon pe hasin khwab sajae honge waqt ke sath badal jate hain chehre sare aaj apne hain yahi log parae honge log isi wajh se pathraw kiya karte hain aap shishe ki dukan khub sajae honge rah hamwar na aasan tha husul-e-manzil hausle hum ne bahut apne ganwae honge yunhi ehsas-e-nadamt to nahin un ko 'hasan' apne hathon se hi ghar apna jalae honge