sab kuchh sar-e-bazar jahan chhod gaya hai ye kaun khuli apni dukan chhod gaya hai jate hi kisi ke na wo naghma na ujala khamosh charaghon ka dhuan chhod gaya hai wahshi to gaya le ke wo zanjir-o-gareban ek nauha-kunan khali makan chhod gaya hai sau qafile is rah se aae bhi gae bhi ab tak main wahin hun wo jahan chhod gaya hai bheja hai ye kis ne waraq-e-sada mere nam kya kya gile be-lafz-o-bayan chhod gaya hai ta-dur jahan ab se sar-e-rah charaghan wo naqsh-e-qadam apne wahan chhod gaya hai uth kar teri mahfil se gaya hai jo mughanni naghmat ke parde mein fughan chhod gaya hai be-samt sa ek aaj ki mazi hai na farda ye waqt ka sailab kahan chhod gaya hai pahlu mein kahan dil jo sambhaale koi 'naushad' ek dagh ki surat mein nishan chhod gaya hai