rang to maujud ki taswir ho sakte nahin wo jo manzar khwab hain tabir ho sakte nahin kyun mujhe ashaar kahne ka hunar us ne diya mujh se mere dukh agar tahrir ho sakte nahin aankh mein manzar to aa sakte hain surat odh kar aaine to aks se zanjir ho sakte nahin main hi apne dard-o-gham likkhunga apne hath se ye janaze aap se tahrir ho sakte nahin sarf ho jaenge hum us ki mohabbat mein yunhi sarf ho jaenge hum taskhir ho sakte nahin is zamin ki toh mein rahna himaqat hai miyan jis zamin pe sher bhi tamir ho sakte nahin guftugu ye kah rahi hai baat mein halke ho tum so muridi mein raho tum pir ho sakte nahin nind to be-kar mein in kosnon ki zad mein hai khwab hi aise hain jo tabir ho sakte nahin is ko sehl-e-mumtana mein baat aaegi samajh 'zeb' aise sher to tafsir ho sakte nahin