sar-e-ashjar tahrir hawa achchhi nahin lagti hamein patjhad mein gulshan ki faza achchhi nahin lagti gali-kuchon pe ye kaisa sukut-e-marg tari hai faza-e-shahr-e-be-saut-o-sada achchhi nahin lagti pas-e-taswir ho jab ek rang-e-atish-o-ahan teri taswir ai duniya zara achchhi nahin lagti wahi hai bhuk ahl-e-zar ki lekin log kahte hain bhara ho pet to koi ghiza achchhi nahin lagti tajjub hai hamein un par jinhen apne gulistan ki zamin achchhi nahin lagti faza achchhi nahin lagti adhura hai abhi zauq-e-tamasha-e-jamal apna koi surat sar-e-shahr-e-wafa achchhi nahin lagti kare kya chaaragar aise marizon ka jinhen 'shahid' ilaj achchha nahin lagta dawa achchhi nahin lagti