pahle to shahr bhar mein misal aaine hue phir gard se sarapa sawal aaine hue chehra chhupae phirta hai gahre naqab mein ek shakhs ko to lau ki misal aaine hue hum ko saza mili ki ujale the aaine so apni jaan pe sara wabaal aaine hue phir yun hua ki zabt ki surat nahin rahi aur shahr-e-be-nawa ke ghazal aaine hue jin ke sabab se hum hue matub shahr mein ek waqt aa gaya wo khayal aaine hue wo dard ji utha ki gareban the tar tar wo rut umad padi ki nihaal aaine hue