ruthna tera sar-e-sham bura lagta hai shab ko phir chand lab-e-baam bura lagta hai nam le le ke main jita hun jahan mein jis ka jaane kyon us ko mera nam bura lagta hai gham bhi mil jae agar un ka to qismat ban jae ishq mein kis ko ye inam bura lagta hai aadmi auron ko badnam kare ji bhar ke apna jab nam ho badnam bura lagta hai ho safar aisa ki mahbub ho manzil jis ki ishq walon ko tab aaram bura lagta hai jab se dekhi hain teri mast sharabi aankhen nashsha-e-baada-e-gulfam bura lagta hai ho bure kaam se jo daulat-o-shohrat hasil phir 'malik' kis ko bura kaam bura lagta hai