nazar nazar ko saqi-e-hayat kahte aae hain un ankhdiyon ko mai-kade ki raat kahte aae hain ba-chashni-e-ahd-e-nau jo baat kahte aae hain gham-e-jahan ko dil ki kaenat kahte aae hain fareb-e-shauq ko takhaiyyulat kahte aae hain bikhar gae to gesuon ko raat kahte aae hain usi ko zindagi ka saz de ke mutmain hun main wo husn jis ko husn-e-be-sabaat kahte aae hain ye mukhlisan-e-ishq bhi ajab ada-parast hain wo muskura diye to iltifat kahte aae hain hayat ta-mamat ek silsila hai ishq ka kahan hain wo jo marg ko najat kahte aae hain na zahidon ke waz-e-tark-e-ishq par hanse koi ye be-khabar bhi hausle ki baat kahte aae hain ye zarf-e-baada kya hai baada-ashna se puchhiye hum is ko shisha-e-tajalliyat kahte aae hain ghazal hai nam husn ke muamalat-e-kham ka khata hui ki dilbaron ki baat kahte aae hain sukun o khwab zindagi ki rah mein kahan 'nushur' hayat ko musafirat ki raat kahte aae hain