pahlu ke aar-par guzarta hua sa ho ek shakhs aaine mein utarta hua sa ho jita hua sa ho kabhi marta hua sa ho ek shahr apne aap se darta hua sa ho sare kabira aap hi karta hua sa ho ilzam dusre hi pe dharta hua sa ho har ek naya khayal jo tapke hai zehn se yun lag raha hai jaise ki barta hua sa ho qailula kar rahe hon kisi nim ke tale maidan mein rakhsh-e-umr bhi charta hua sa ho mashuq aisa dhundiye qahtur-rijal mein har baat mein agarta magarta hua sa ho phir baad mein wo qatl bhi kar de to harj kya lekin wo pahle pyar bhi karta hua sa ho gar dad tu na de na sahi galiyan sahi apna bhi koi aib hunarta hua sa ho