pani ko patthar kahte hain kya kuchh dida-war kahte hain khush-fahmi ki had hoti hain khud ko danish-war kahte hain kaun lagi-lipti rakhta hai hum tere munh par kahte hain thik hi kahte honge phir to jab ye professor kahte hain sab un ko andar samjhe the wo khud ko bahar kahte hain tera is mein kya jata hai apne khandar ko ghar kahte hain nazm samajh mein kab aati hai dekh is ko mantar kahte hain