pahlu ko tere ishq mein viran nahin dekha is dil ko kabhi khali-az-arman nahin dekha surat ko meri dekh ke hairat hai tumhein kya tum ne to mera haal-e-pareshan nahin dekha musa hue behosh tajalli-e-laqa se talib the magar jalwa-e-jaanan nahin dekha rote hain gunahon pe wahi jin mein hai iman kafir ko kabhi hum ne pasheman nahin dekha dekha jo mera dagh-e-jigar hans ke wo bole aisa to charagh-e-tah-e-daman nahin dekha ai dard-e-jigar chain zara lene de mujh ko tujh sa bhi koi jaan ka khwahan nahin dekha sar kat ke gira shauq se qatil ke qadam par aisa bhi koi banda-e-ehsan nahin dekha rone pe meri tum ko tahayyur ye abas hai kya tum ne kabhi abr ko giryan nahin dekha dekhi hai bahut aap ne aaine ki hairat aashiq ka magar dida-e-hairan nahin dekha sar-gashta wo sahra-e-musibat mein na hoga jis ne teri zulfon ko pareshan nahin dekha puchha jo 'jamila' se to wo mujh se ye bole dil sa to koi dusra aiwan nahin dekha