ta na paDe KHalal kahin aap ke KHwab-e-naz mein

ta na pade khalal kahin aap ke khwab-e-naz mein
hum nahin chahte kami apni shab-e-daraaz mein

aur hi rang aaj hai aariz-e-gul-azar ka
khun-e-dil apna tha magar go na rukh-e-taraaz mein

kyunki na aadhi aadhi raat jage wo jis ka dhyan ho
aahu-e-nim-khwab mein nargis-e-nim-baz mein

khusraw-e-aish-e-wasl-e-yar jaan-kani aur kohkan
apna jigar to khun hua ishq ke imtiyaz mein

bin tere bazm-e-sur mein hain ye qabahaten ki hai
naghma-e-sur ka asar naghma-e-nai-nawaz mein

un se ab iltifat ki ghair ko hain shikayaten
sun ke mera mubaalagha minnat-e-ehtiraaz mein

kya sabhi sine jal chuke kya sabhi dil pighal chuke
bu-e-kabab ab nahin aah-e-jigar-gudaz mein

parda-nashin ke ishq mein parda-dari na ho kahin
hoti hain be-hijabiyan jaan-e-nahufta-raaz mein

rakhna-e-dar se ghair pas dekha kise ki aaj hai
rakhna-gari kuchh aur hi nala-e-rakhna-saz mein

yaad-e-butan mein lakh bar fart-e-qalaq se hum bhi to
baithe uthe hain 'momin' aap gir rahe shab namaz mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close