tujh mein kitna gum hun aur kitna nazar aata hun main aata jata aainon ko munh dikha jata hun main us ke baad agli qayamat kya hai kis ko hosh hai zakhm sahlata tha aur ab dagh dikhlata hun main naqsh-bar-diwar hun aur baat kar sakta nahin aisi haalat mein bhi jo kahta hun manwata hun main khaksari hi nahin ye gham-gusari bhi to hai panw rakhta hun jahan mitti utha lata hun main harf ke aawaza-e-akhir ko kar deta hun nazm sher kya kahta hun khamoshi ko phailta hun main din dhale kuchh der dhal jata bhi hun suraj ke sath sham hote hi charaghon se ubhar aata hun main