pahlu mein dil hai dard-e-mohabbat liye hue baitha hun kaenat ki daulat liye hue is husn-e-ishwa-gar se farishte na bach sake hai aadmi to phir bashariyyat liye hue allah re ghubar guzargah-e-yar ka hai zarra zarra tur ki azmat liye hue hogi qubul dawar-e-mahshar ye pesh-kash aaya hun main mataa-e-nadamat liye hue hon baryab-e-bazm wo saat kab aaegi muddat guzar chuki hai ijazat liye hue haalanki muskuraate hain wo waqt-e-guftugu lahja magar hai saf kudurat liye hue mar kar bhi gul-rukhon se judai na ho saki phulon ka dher hai meri turbat liye hue gumnam tha to kunj-e-qanaat nasib tha phirti hai chaar-su meri shohrat liye hue har gosha mere qalb ka maidan-e-hashr hai hai mukhtasar makan ye wusat liye hue nale nikal ke dil se agar arsh tak gae jaenge ai falak ye teri chhat liye hue ek hur-wash ke kuche ka 'sabir' hai dil pe naqsh baitha hun main kanar mein jannat liye hue